Monday, January 23, 2017

Kahani muhabbat ki : Kya hoti hai muhabbaat


                    jeetmy.blogspot.com

 Muhabbat ek aisi dAstan hai jise har koyi likhta hai apne dil ki kalam se . Mohabbat me do dil jab tak na mile tab tak kahani addoori si hoti hai.
           Muhabbat me dil judte hain jinse kahaniyan banti hain aur dastan likhi jati hai do dilon ki . Jab do dil milate hain to khuda ki khudayi bhi sari kayanat ko muhabbat ka sath dene ko laga deti hai...........



Kaisi hoti hai ye pyar karne walon ki ajeeb duniya . Jahan dekho wahan pyar hi pyar bantate hain. Muhabbat me inshan khud ko chhod sari duniya se pyar karne lagta hai. Aisa laagta hai mano sari duniya hasheen hmai , dharti ashman ke beech ka fasla kam ho gaya gaya hai, hawaon ne apna rukh badal liya hAi.


Muhabbat karne walon ko duniya se pyar ho jata hai, badal jate hain jindagi jeene ke rang dhang jab pyar ho jats hai


           Rangon me rangat hawayen ye              mahkati hain ....
           Foolon me shabnam si boonde               khankati hain...
           Pas mere ho tum ye najaren                  suhani hain,
      Mano sanson me teri sansen simtati hain.... 

            muhabbat me dil shayri karta hai to kadam aashman ko chhoote hain, aur bahen hawaon ko gale lagati hain. Gujrane lagti hai aise jindagi mano jannat ka dar yahin hai......


Muhabbat me do dil ek doosre ko achhe se janane lagte hain . Ek doosre ki parwah itni badh jati hai ki dooriyan duswar ho jati hain. Ek pal ki bhi doori bechaini badha deti hai.  Na rahen sath do pal to jeena muskil ho jata hai. 
                     sach to ye hai muhabbat bahut hi khoobsurat hoti hai jab do dilon ki mulaqat hoti hai. Sari kayanat sath hoti hai jab do dil pyar bhari dastan likhate hain.


Muhabbat wakayi ek aisi khuda ki khudayi hai jo kayanat ki khoobsurti ko batati hai...
muhabbat me jab do dilo me dooriyan badhati hain to ek dam sab kuchh beeran sa lagta hai. Ek pal bhi jeena ek sal ke samaan ho jata hai. 
 muhabbat me kyon bichhadte hain log , kyon ho jati hain dooriyan aksar do dilon ke milne ke bad . Kyyon ek doosre ko ek pal dekhne ke liye tadpati hain aankhen . Kyon ???????

.............................................................

Par sach to ye hai ki pyar ho to jindagi hasheen hai , saree duniya rangeen hai ,hawaon me khushboo, fizaon me bHaare, foolon se khili ye jameen hai.jina mushkil hota hai muhabbat ke bina , gar muhabbat na mile to duniya gamgeen hai............




     yaden unki yadon ki dil  me kuchh sunapan sa hai, bahti nadiya udte badal ujada mera ye ban sa hai.....
Rahte har pal wo dil me mere fir ye kaisa khali pan sa hai.... 



kahani muhabbat ki ek ajeeb dastan hai. Jisme do dilo ke milne ki kahani bayan hai
Jeena kaise mushkil hota hai muhabbat bin.jab do dil na ho to muhaabbat kahan hai.


   Mahkati shama bahkati ghata in hawaon tumko pukara hai.......Rimjhim se barsate chale aao tum mausham ka khub ishara hai......Ab to barsate chale aao ki bahen tarsati hai....Bas tere intjar me mera ye nadan dil aawara hai........




   bahut yad aate ho aap jab main sochta hoon tumko dil ki gahraiyon me
kyon door nikal gaye itne ki meri najaren khamosh hokar bas tere aane ka
rasta dhoondha karti hain

game ishq ki tanhaiyon me mere dil ki awaje bas tere nam ki dewani hain


kabhi lauto mere liye bas ek bar ye kahne bas mujhe tumse muhabbat hai
bas mujhe tumse muhabbat hai...

yun to har roj main bas khoya sa rahta hoon aur dhoondhta hoon tumko in yadon ke shahar me...par tum ho ki bas is dil se jate hi nahi.....




awajen bahut di thin kisi roj tumko , par tum mujhko yun hi rula kar gaye simtati si fizaon me
har waqt har pahar bas dhoondha kiye ham in mahkti hawaon me....
na jane kya vo jadoo tha mere un ehsason me ...
har pal mere pass tu tha un mahki bhiki si sanson me....

aaj dil ye mera kuchh kahta hai dildar teri aadat mujhko....kyon door gaye kyon chhod gaye
kab aaoge wabas tumto...

     


   




1 comment:

  1. Hiii everybody
    this is my official web

    you can like or follow me

    ReplyDelete

Please comment me if you like the post.

Dil Ke Kareeb

                            **********Dil Ke Pass***********              Wo ajnabi the jo hamse ruth gaye Apne kabhi sataya nahi kart...