*********Top Romantic Love Shayriyan*******
Musam to jashn-e-bahara hai
is dil ne tujhko pukara hai
Ab to chale aao ki bahe tarsati hain
bas tu hi to mera sahara hai
Jab sham dhale teri yad sataye
teri kasam ye bahut rulaye
Har rat tera alam isko
ye nadan dil bechara hai
Ab bas tu hi to mera sahara hai..........
****************************************
Aisa hi hota hai jab pyar hota hai
kabhi ye dil shayari karne lagta hai
To kabhi uski tasweer banane lagta hai
Har pal ho jata hai aise haseen mano
har kahin bas wahi dikhane lagta hai
Tamanna rahti hai har pal uske sath rahne ki
Aur ye dil hai ki sala bewajah muskurane lagta hai
jahan dekho jisko dekho bas har jagah bahi dikhne lagta hai
milne ki rahti hai har pal bekrari dil me
Kya yar yahi pyar hota hai........................
*****************************************
Samandar me uthati lahron si ai kashish koyi is dil me......
bahta chalun hawaon sang ye tamanna rahe is dil me
chalta chalu sang-sang tere mere paas hamesha tu rahe
Har kadam har sahil par tera pyar sath mere meet rahe
bas jhukta rahun tere sajde me harpal
hai justju koyi is dil me..............................

Is bheegti barsat me teri yaad mujhko aa gayi
socha jara dil se tujhe to ye dhadkane badha gayi
Yaad hai wo waqt jab bheege the ham do sath me
sath thi dhadkan hamari us bheegti barsat me
mausam-e-pyar me aaj kitna mujhe sata gayi
Hasrat ye dil ki mere aaj tere na hone ka ehsaas dila gayi
Chahat-e-dil ne ki duaa milne ki tumse
Yaad teri hamdam mujhko itna yon rula gayi.........

Dil me jise chhupaya wo raas ho tum
har pal jise chaha wo pyas ho tum
Ab tak jise samajh na paya vo ek ansuljha viswas ho tum
Chookar jo gujra mere dil ke ashiyane ko
wo ek bahti hawa ka ehsaas ho tum
Chaho to kitna bhi door raho mujhse mere hamdam
Par hamesha mere dil ke paas ho tum..........
******************************************
Tum se mera kya hai wasta
Ek tu hi to hai mere jeene ka raasta
Kaise likhun ki mere liye kya ho tum
Main gar samandar hoon to meri mauj ho tum
Dhadkate is dil ka arman ho tum
gulshan-e-bahar me mahkati fiza ho tum
roshan jisase meri jindagi hai...
wo aasma me chamkata chand ho tum

Mere dil ke aayine me basi pyari si tasveer hai
Jisme koyi aur nahi bas tu hi to meri heer hai
tamanna-e-dil ki tera banke rahun umra bhar mere sathiya
tere sath chalun tere sath badhun tere sath jiunn tere sath marun
Bas ab yahi meri taqdeer hai......................

Waqt ne hansaya waqt ne rulaya
waqt ne hamko deewana banaya
ji raha tha yun jindagi bekhabar hokar
Ye waqt hi hai jisne hame tumse milaya
Pyar kahti thi duniya jise ek rangeen sa ehsaas hai
Aaj us ehsaas ka ehsaas dilaya
aaj kya aur kahun is waqt ko main
jisne mujhe itna sataya....................

Kisase huyi khata is dil ke waste
kyon mile the hamko tum is chahat ke waste
manjil ka meri koyi pata nahi
Aaj chal diye ham us raaste
Ye janta hoon main bhi ki tum chahte ho kisi aur ko
par jaan kar anjan hoon meri jaan is dil ke waste
***************************************
Yahi to jine ke andaj hain mere
tujhse door magar sath hain tere
yad tum karo ya ham karen koyi fark nahi padta
bas sath tum raho ye armaan hain mere
teri yad jab dil ko aati hai
ek meetha ehsas dilati hai
ansuljhi anjani si ek chahat mujhko tadpati hai
hasrat dil ki kuchh kahti hai
Jo aanshuon me bhi muskurati hai............
****************************************
Tum aaye ankhon me chhaye
dheere-dheere mere dil me samaye
dil ne tumko apna banaya
aur tumne bhi hamko kitna chaha
hamne tha kiya ijhar tumse
tab tumhe bhi tha pyar mujhse
Gaye the ye wada karke bat karenge ham tumse
tum jakar yun badal gaye
Par ye dil na mera badal paya
ar bar yun dard tumko batata raha
par tu bhi dheere-dheere bhulata raha
maine dil rakh diya nikal ke tere kadamo pe
aur tu bhi yar isko thokar lagata raha........

Tum ruthe iskadar ki hamse manaya na gaya
ye dosti ka rista hamse nibhaya na gaya
Tu iskadar chhuda liya daman mujhse
fir kabhi ye apna dard dikhaya na gaya
Tumne to shayad bana liya hai yakeenan kisi ko apna
apna mujhse koyi banaya na gaya
Ab to dar lagta hai is pyar nam se shayad mujhe aye jindagi
aisa kar sakte hain aise nadan se chehre bhi
bas yahi soch ke unko bhulaya na gaya...........

Tamanna-e-dil ki hasraton me tera sath abhi waki hai
dil me jo jage meethe se ehsas hain
un ehsason me tere pyar ki barsat abhi waki hai
Mausham-e-barsat me teri yad satati hai sathiya
is pyare pyare mausam me tera deedar abhi waki hai...
yun to har roj milta hoon is jamane se
par un chehron me tere chehre si muskan abhi waki hai
abhi kahan pata ham dono ki manjil ka thikana
bas rasta-e-pyar mera sathi hai.......
Khwahish-e-dil me yun to jage kayi arma hain
par in kwabon me mere sapno ki udan abhi waki hai
Kya fark padta hai jamane ko hamari is kahani se
gujra jo har lamha tere sath uska ehsas -e-khayalat abhi waki hai
dekhta hoon is jamane me yun to har sakhs ko
par unme tujhsa koyi nahi mere sathi ha
itni jaldi bhi kya hai justju-e-tamanna
abhi to maine bas start kiya hai
Mee jeene ka andaj-e-jahan abhi waki hai..........

Aawajen bahut di thi kisi roj tumko
par tum mujhko yun rula gaye simtati si fizaon me
Har waqt har pahar bas dhoondha kiye ham
tumko in mahkati hawaon me.......
Na jane kya wo jadu tha mere un ehsason me
Jab har pal mere pass tu tha ub bahki-bahki si sanson me
*******************************************
Yaden unki yadon ki dil me kuchh khalipan sa hai
bahti nadiya udte badal ujda-ujda ye bansa hai
rahte har pal wo dil me mere
Fir ye kaisa sunapan sa hai................
********************************************
Rango me rangat ye hawayen mahkati hain
foolon me shabnam ki boonde khankati hain
paas mere ho tum ye najren suhani hain
Maano sanshon teri ye sanshen simtati hain

*********MISSING CHIELDHOOD***********
Bas khus raho mast raho yun pyar karte raho
milna-milana jarur hoga ab waqt ke sath
Bat bas itni ki ek dusre ko dil se yad karte raho
ab wo nahi ho sakta chahkar bhi jo hamare bachpan me huaa karta tha
jab chahte tab milte the jhagdte the
par sab bade pyar se rahte the.....
Ab to bas wahi yaden rahengi sath hamesha
bas ab sabse milne ke liye miss karte raho
koyi kahi aur koyi kahin hai
jane kab honge ham sab sath k din
Yahi soch ke bas ye waqt gujarte raho
**********************************************
Wajah na thi hansane ki na rone ka koyi bahana tha
rahte the ham sab masti me kaisa wo yar jamana tha
Na kal ki fikar na aaj ki chinta na ek pal ka bhi koyi thikana tha
jeete ji the ham jannat me bachpan wo mera suhana tha
Maa ki mamta bahut satati papa ka pyar rulata hai
aaj hame ye waqt mera pachpan ki yaad dilata hai
paas me jo tha unke beeta us pal ka kahan thikana tha

Yaron jo tum sang gujar gayi wo lagti hai ek kahani si
Khub jhagdte ladte the ham jab thi ham me nadani si
hansate gate katati raten wo din bhi kya mastana tha

Aaj huye ham bade kyun itne
itne kyon ham sab door huye
duniyadari ke chakkar me ham aap me apne magroor huye
Miss karta hoon yaron wo pal jisme ha sab sath me
fir karen ek nadani si jab waqt hamare halat me ho
Kaash hamara wo bachpan fir se laut mere yaron aaye
fir jhoome ham masti me aur khushyon se nache gaye
Sath rahe the ham sab jis me waqt bhi wo ansuljha anjana tha
Jeete ji the ham jannat me bachapan wo mera suhana tha....
********************************************************

No comments:
Post a Comment
Please comment me if you like the post.